jab bhi teri yaadon ka silsila sa chalta hai

रसा चुग़ताईरसा चुग़ताई

1 min read · 12.5K reads

jab bhī terī yādoñ kā silsila sā chaltā hai

ik charāġh bujhtā hai ik charāġh jaltā hai

shart-e-ġham-gusārī hai varna yuuñ to saaya bhī

duur duur rahtā hai saath saath chaltā hai

sochtā huuñ āḳhir kyuuñ raushnī nahīñ hotī

daaġh bhī ubharte haiñ chāñd bhī nikaltā hai

kaise kaise hañgāme uTh ke rah ga.e dil meñ

kuchh pata magar un kā āñsuoñ se chaltā hai

vo surūd-e-kaif-āgīñ soz-e-ġham jise kahiye

zindagī ke naġhmoñ meñ Dhalte Dhalte Dhaltā hai

रसा चुग़ताई
About the poet

रसा चुग़ताई

उपनाम : 'रसा' मूल नाम : मिर्ज़ा मुहताशिम अली बेग जन्म : जयपुर , राजस्थान निधन : 05 Jan 2018 | कराची , सिंध

View profile & all 37 Poems / Stories

More Poetry & Stories You May Like