charagh-e-subh se sham-e-watan ki baat karo

रसा चुग़ताईरसा चुग़ताई

1 min read · 12.4K reads

charāġh-e-sub.h se shām-e-vatan kī baat karo

jo raah meñ hai abhī us karan kī baat karo

dar-e-qafas pe jo aa.e sabā to phir pahroñ

biThā ke sāmne gul-pairahan kī baat karo

jahāñ se TuuT gayā silsila ḳhayāloñ kā

vahāñ se zulf-e-shikan-dar-shikan kī baat karo

रसा चुग़ताई
About the poet

रसा चुग़ताई

उपनाम : 'रसा' मूल नाम : मिर्ज़ा मुहताशिम अली बेग जन्म : जयपुर , राजस्थान निधन : 05 Jan 2018 | कराची , सिंध

View profile & all 37 Poems / Stories

More Poetry & Stories You May Like