Sahil pe tamashayi ko sumundur se moti chahiye's image
092

Sahil pe tamashayi ko sumundur se moti chahiye

ShareBookmarks

Sahil pe tamashayi ko sumundur se moti chahiye
Per, gehraiyon tak to pahunchta hai jisey roti chahiye

Yaari, parindon se bhi zabardast ho jaati hai
Unhen khaaney ko aur mujhe unki dosti chahiye

Unsiyat ke liye alfaaz ki zururat nahin hoti
Misron se kya kaam dilon ko, unhen hamdardi chahiye

Yaad rahey tumhen ai ke hukmiranon sab
Raaj wo karega dil kya jeetega, jisey soti chahiye


Ghurur ki chaadar odhey rahoge humsafar na paoge
Sula deta hai ana ko woh jisey shanasayi chahiye

Kya karenge hum shaikh kaakh o gulzaar ka
Mil jaaye zururat men jo apni, woh darya dili chahiye


Bhool jaata hai be shak mehr e khuda ko kaarsaaz
Woh na shukr nahin hota kabhi, jisey roti chahiye


Tark karna to sab ne hai jahan ko ‘sahil’
Mehr ho khuda ki bas pur sukoon rukhsati chahiye


Unsiyat closeness
Misron. Spoken lines
Ana ego
Shanasayi. Acquaintance
Kaakh o gulzaar. Palace n gardens
Kaarsaaz. Benefactor
Rukhsati. Departure

Read More! Learn More!

Sootradhar