Kyon zindagi ka tu ghulaam hai's image
0110

Kyon zindagi ka tu ghulaam hai

ShareBookmarks

Kyon zindagi ka tu ghulaam hai
Ab, jis ki be chaari shaam hai
‘Sahil’, kya fikr yehi hai tujhe
Ke kya naam tera sar e baam hai


Yeh khayal bhi ab dushnaam hai
Tu jaanta hai zeest ka kya anjaam hai
Saans se saans hai umr bhar
Javidaani isi ka naam hai

 

Bas, dua aur salaam hai
Gaam ke aagey ek gaam hai
Naqsh e pa ki baat kya
Har parinda be naam hai


Falsafe men bahot aaraam hai
Jaise maikade men woh jaam hai
Khayalon me doob ya mai pi le
Shaair, aakhir yehi to tera kaam hai

Sar e baam. Rooftop
Dushnaam. That which is reviled
Anjaam. Result
Javidaani eternity
Gaam. Qadam
Naqsh e pa. Footprints
Falsafa. Philosophy
Jaam. Cup goblet

Read More! Learn More!

Sootradhar