Arsh e bareen hai ya aasmaan koi
Ma’bad ya aastaan koi
Kaunsa hai maqaam khuda ka
Mahal ya chhota sa makaan koi
Kis kooche men kaho ghar hai
Kaunsa woh nagar hai
Koi to batao mujh ko, dosto
Kahan woh basar hai
Dagar bata do to kaafi hai
Shabaab woh kaunsi vaadi hai
Nakaam rahi hai justaju meri
Dil men ab maayusi hai
Wah ‘sahil’ baat dil ki karta hai
Wohin to khuda basta hai
Maayus tu hai, tera dil nahin
Ja puchh woh kya kehta hai
Dil ke khaanon men ja dekh
Wohin to hai, ja milega dekh
Dar ba dar dhundta hai kyon
Kitne qareeb hai woh, ja dekh
Har dil ka woh maalik hai
Rahbar woh, tu saalik hai
Raah tujhe woh dikhlayega
Sab ka wohi ek khaliq hai
La makaan to na hua woh ‘sahil’
Uska makaan to hai tera dil
Tanha nahin hai kisi goshe men woh
Woh teri, aur tu uski hai mehfil
Dil apne se dil laga le
Khuda ko paas bula le
Maafi talaafi ki baat ho jaayegi
Woh dil ka khaana apna le
Arsh e bareen. Seventh Heaven
Ma’bad. Place of worship
Aastaan. Saints abode
Maqaam. Place
Basar. Reside
Dagar. Path
Shabaab. Verdant
Dar ba dar. Door to door
Rahbar. Guide
Saalik. Follower
Khaliq. Creator
La makaan. Homeless
Gosha. Corner
Maafi talaafi. Excuses. Forgiveness
Read More! Learn More!