Aaj ek aurat ki jindagi sunata hu 

Jitna samjha utna batata hu 


Ek aurat kon hai ? 

Maa, bhehan, beti ya koi mitra hai,

Wo is kore kagaz par sundar chitra hai,

Jivan ke har pal me wo hai,

Wo har ek halat me hamesha pavitra hai


Zindagi ke har pal ki importance dikhta hu

Chaliye, Aaj ek aurat ki jindagi sunata hu


To kyo kuch dino ke liye use gandagi maan liya jata ? 

Kyo use bina koi galti ke bhi un-chhua kiya jata ? 

Kyo hum is vishay par baat karne me jijhakte hai ,

Samaj to nikkma hai yrr, to kyo is samaj se darte hai, 


Aaj is samaj si soch badlna sikhata hu,

Aaj ek aurat ki jindagi sunata hu


In panch dino ke dard ko ye ladkiya has kar nikal deti hai,

Hum inke dard kese samjhenge, isko soch hi humari rooh kaamp jati hai. 

Par ye ladkiya sangharsh karti thi, or apne liye aaj bhi sangharsh karti hai,

Apne adhikaro ke har pal har ghadi is samaj se jhagadti hai 


Har aurat ki zindagi ka sangharsh sunata hu 

Aaj ek aurat ki jindagi sunata hu


"Pad" ye shabd bolne me thodi hichkichahat ho rahi hai,

Kyoki shayad is samaj ke bevkoof logo ki nazre bhi muje dekh rahi hai, 


Inhe aaj bhi kai jagah akhabaar me chupa kar diya jata hai 

Kai jagah is vishay me baat karne ko bhi mna kiya jata hai 

Aaj aap chahe jo sochna ho socho, me to bolunga 

Kyoki har roz ek asli mard ka farz mere samne aata hai. 


Mard hu, is liye mard ka asli farz batata hu,

Isi liye Aaj ek aurat ki jindagi sunata hu


Kyo bachpan me is baare me bataya nhi jata,

Kyo ladko ko is baare me shikhaya nhi jata,

Periods ko kai log bimari sochte hai ,

Kyoki in logo ko kabhi samjhaya nhi Jata. 


Apni koshis se aaj apko kuch sikhata hu 

Aaj ek aurat ki jindagi sunata hu


hame samaj me faili is gandagi ko mitana hai,

Periods bimari nhi ye sabhi ko batana hai,

Ye to jivan ke rachna ki prakriya hai,

Hame Is taboo ki sachai ko dikhana hai,



Aaj ek beta bhai ya dost bol raha hai 

Shayad band dimag ke darvaje khol raha hai 

Jyada bolne se matlab nhi, aap sab bhi samjhdaar hai, 

Chaliye chalta hu, aap sabko mera namskar hai