Ye Aaj fir,, fir rahi hai tu mujse chehra firaye , Koi baat hai kya??

kya fir Meri kisi baat se Udas hai tu,, Ya Mujse Ruthna hi bas teri adat hai kya ?


Kya Aaaj Fir Mene puch liya hai koi Sawal galat,,

Ya kuch puch liya hai Tujse ,, Yahi galat hai kya ??


Ye Aaj teri bataen Meri Ankhon me kyun nahi dekhti,,

Teri baton me chupi aur bhi koi baat hai kya ??


Ye aaj fir hai Naak laal teri ,, Bikhre hue hai Baal tere ,,,

Ye din ne Tuje thaka diya hain ,, Ya Raat anewali koi Qayamat hai kya ??


Ye Aaaj kaisi be-qadri se tu ,, le rahi hai naam mera ,,

Kya badh gayi hai qeemat teri , Ya gir gayi meri Aukat hai kya ??


Thakne lage hai Aab to tere apne bhi teri Fariyade Sunkar,,

Kya tere daman me koi Aur khayalat bhi haiin ,, Ya sirf ilzamat hai kya ??

 

Ab Tu hi bata de ke Akhir Teri Pareshani hai kya ???,,

Teri Mujse hai Narazgi koi ,, Ya mere hone pe hi Shikayat hai kya ??