Bharosa kar ke Mitti bhi "Maa" hai,, Kabhi daga nahi karti,,,

Ye apni Gaud me soye kisi bhi bachhe ko andekha nahi karti !!!


Vo apni bhul se hi reh gaya hoga bhukha,,,

Verna jis karvat soya ho bachha ,, Maa kabhi pith nahi karti!!


Gujra kar Raahi  ,, tu dil ki galiyo se bhi kabhi kabhi  ,,

Sirf Shaher-e-dimag me hi to Duniya Basa nahi karti !!!


Ghar se nikle ho kuch pane agar,, To thoda age niklo,,

Manjilien had 'o' Me rehkar,, Kabhi Mila nahi karti !!!


Tum Roshni se saja do shaher ,, Bula lo Sabko Magar,,

Sath Dost na ho jab tak,, Mehfilen saja nahi karti !!!


Ye Bulandi bhi tawayaf ki tarah sath bad-dua lekar ati hain,,,

ye kisi bhi Shaks ke sath jyada der tak, wafa nahi karti !!!!


Ye Jindagi ki baazi hai Thakar ,, Jara khulkar khel,,

Mauka dobara khelne ka,, Jindagi diya nahi karti !!!