Ehtiyatan jahan koi kadam nahi rakhta,, Ye khudko bicha deti hain,,,

Majduri Shaher banate banate ,, Gaanv bhula deti hain !!!


Dhal jati hai  sham yahan,, Phir Raat nahi dikhti,,

Bastiya Jo dinbhar Jalti hai kano me,,, Raat andhere me gujar deti hain !!!


Sunte hain sab,, To ye bhi sun leti hain,,

Siyasat se jo bhi mile badle me ,, garibi vote de deti hain !!!


Vo is hunar se bhi bache ko samja deti hain,,,

Maa Pet me lagi Aag ko bhi Pani se buja deti hain !!!!   

 

Ro padti hai talim yahan,, Qalam  likhne me hichkichati hain,,

Yahan Chaprasi ki qataron me,, degreeiyan foram bhar deti hain !!!


Ye hadsa bhi is Mulk me ab Aam ho chala hain ,,

Padhe likhe naujavano ko,, bekari pardes bhaga deti hain  !!!


Jahil nahi hain Ye Mulk,, Ye khudko badal Sakta hain,,

Siyasat Magar usi Tuti buniyaad par Har imarat bana deti hain !!!