Hamne Ab Uske Sabr ko ,, Azmana Chod diya hain,,,
Ab Khudse hi Ruthe dil ko ,, Manana Chod diya hain !!!
Har bat Musalsal vahin ake Rukti thi,,,,
Áb bas me nahi jo Khwab,, Dikhana chod diya hain !!
Ab Har din nayi Zindagani hain ,, Har Raat Maut,,
Ab Kal ki Fikr me Hamne ,, Aaaj ko Satana Chod diya hain !!!
Jan-buj kar hi nahi kartie Ab ankhen koi Sawaal,,,
Jo dari dari hi Rehti hain,, Use Aur darana Chod diya hain!!!
Hasraten Hokar bhi Poori ,, Khatma kahan hoti hain???
Acha hi hua Ye Silsila ,, Hamne Khud hi Chod diya hain !!!
Thik bhi nahi tha Ek hi Waqt Pe do Mausam ka hona,,,,
Soch Samaj kar hi Hamne,, Uski Mehfil Ko Chod diya hain !!!
Ab Jante bhi Hai Agar To kisika Hal nahi Puchte,,
Ab Khali Daman se Hamne ,, Sirf dilasa dena Chod diya hain ...

