Is masle se kaise Nijaat payen

Jo hain ba wafa to kaise bewafa ho jayen


Tum justjoo e ishq me bhool chuke ho

muflis hain hum, ameer kaise nazar aayen


Har shikast ke baad yahi guman hota hai

Chalo ab ke dafa , ishq me kuch karke dikhayeen


Chaapta hai andhere main, is mulk ka haal

aayo gali ke mod pe, ik diyaa hi jaala aayen