Almaari Se Khat Kuch Puraane Nikal Aaye, BeSaakhta Khoob Rone Ke Bahane Nikal Aaye...

Mai Doobna Chahta Tha Sahil Ne Magar, Kaha Doobta Har Jagah Kinaare Nikal Aaye...

Chaand Ko Tanhaa Samjh Liya Tha Mai Ne, Par Asmaan Me To Kaai Sitaare Nikal Aaye...

Jannat Ki Talab Tumhe Hi Mubarak,Aisi Kitni, Jannat'ein Meri Maa Ke Sirhaane Nikal Aaye...

Maine Dekh Kar Usko Zara Muskura Kya Diya, Na-Jane Shaher Me Kaise Kaise Fasaane Nikal Aaye...

"Zubair" Ke  Dard-E-Dil Me Kya Aisi Baat Hai, Sunn Kar Ashq Kyu Tumhare Nikal Aaye...

~Zubair Ahmed