Yaar kone kehlata hai.....

Jab hum pheli baar school jaatey hai, aur kisi key bagal main baithtey hai, wo pehla yaar kehlata hai,

Ma baap key rishto key baad, jo phela rishta hum banatey hai wo yaar kehlata hai,

Jissey ruth ker bhi, naraz nahi ho saktey, jissey ladkar bhi jhagad nahi saktey, wo yaar kehlata hai,

Beetain waqt main wo kabhi kabhi chut zaroor jaata hai,2 per zehan main humesha yaad rehta hai, wo yaar kehlata hai,

Jissey hum wo baatain kertey hai, jo shayad khud sey bhi kehtey huey katratain hai, woh yaar kehlata hai!

Jo tuti hui himmat ko baanta hai, wo adhurey sapney ko purey kerney ki rahain dikhata hai.... wahi toh yaar kehlata hai...