kya mai bhi insaan hu?
kya mujhe apne MENNN hone pe guroor hai?
Girlfriend roothe to mera kasoor hai
Behen roye to mera kasoor hai
Biwi pareshaan ho to mai hi kasoorwaar hun
Bachhon ki jaroraton ko na poora karun to mai hi to zimmedaar hun
Unke liye mai insaan nhi mai ek chalti hui car hun
Maa ke dukh ka kaaran bhi mai hun
Papa ki problems ka bhi mai hi zimmedaar hun
kya mai bhi insaan hun?….kya mai bhi insaan hun?
Andar se rote hue bhi face pe smile rakhta hun
Din bhar kaam krke bhi mai khan thakta hun
Depression, anxiety ye to mujhe hote hi nhi hain
Haan par sbke depression ka mai hi to zimedaar hun
Kya mai bhi insaan hun? Kya mai bhi insaan hun?
Dil toot ta hai to kisi ko nhi batata hun
Chup room me bs usko bhulaata hun
Sbki saari problems mai hi to solve karaata hun
Dusron ki help krne ke liye mai humesha ready ho jaata hun
Pr agr mujhe kisi ki jarorat ho to khud ko akele paata hun
Kyuki mai to thodi na insaan hun
To fir mai kya hun?
kya mai bhi insaan hun?
Sorry bolne ka theka maine hi to liya hai
Maine kiya kya ha ye mujhe nhi pta hai
Iss ghar ki economy se leke desh ki economy girne ka mai hi to zimmedaar hun
Kya mai bhi insaan hun?
Sab sambhaal leta hun
Behen ki shaadi ho ya papa ki financial condition ho
Maa ka dard ho ya bhai ki ladai ho sab sambhaal leta hun
But who cares for me
Haan sbko khush rakhna sirf meri zimmedaari hai
Par apni khushi ka sirf mai hi zimmedaar hun
Sab ki problems ka theka bhi maine liya hai
Kya mai bhi insaan hun?
Tu khana bna leta hai tu Ladki hai kya
Tu ro rha hai abe itna weak hai kya
Tu cockroach se darta hai abe tu ladki hai kya
Aise taane mai roz sunta hun
Kisi ko parvaah nhi meri par mai sbki parvaah krta hun
Poore din bs ek hi baat sochta hun
Kya mai bhi insaan hun? Kya mai bhi insaan hun?
ISKA JAWAAB BHI MAI AAPKO DETA HUN
Haan meri aankhon me bhi aanso aate hain
Haan mere andar bhi feelings hain emotions hain
Haan mujhe bhi dard hota hai
Haan mera dil bhi dhadakta hai
Haan mere bhi 2 pair 2 haath hai
Haan 6 packs abs nhi hain.
Haa Mai bhi pareshaan hun
Haan mai bhi insaan hun..haan mai bhi insaan hun
Shayad kuch bhi theek na ho Magar sab theek hai kehne ki aadat jaroor hai
Haan mujhe apne Mennn hone pe guroor hai
Haan mujhse apne insaan hone pe guroor hai…

