Tumhe hai Rokna aur unhe bhi,

Rukne ka Bahaana chahiye!


Raat bhar jagi aankho ko,

ab ek makhmali Sirhana chahiye!


Jinhe hai intejar en andheri raato ka,

unhe ab ye Chand Bujhana chahiye!


Tumhare Aanshuo me dikh rhi hai mere na hone ki khalish,

Enhe ab aankh se neeche Girara chahiye!


Ye ped bade dino se sukhe pade hai..'vikas,

enhe hare hone me din,mahine,saal

nahi...Zamaana chahiye!


Ye mere gaav ke naujawan bacche hai janaab,

enhe ab kitaabe nahi..Karkhana chahiye!