Ek ladka naam kamane sheher aya hain,

Ghar ki rajayi chhodke,

Sard bhari raaston mein,

Apni manjil paane sheher aaya hain,


Raaston mein jab ladkhadaya toh har adchan ne sawaal kiye,

Tune kya samajh rakha hain khudko, jo duniya jeetne aya hain?


Magar darra sehma woh chalta raha,

Anjaani ladayiyaan ladta raha,


Ab sheher ki roshni ki aankhon ko aadat kaha?

Sukhi roti ki abhi aadat kaha?

Bhukhaar mein abhi bhi humdardi dhundhta hain,

Abhi iss ladke ko sheher ki aadat kaha?


Aankhon mein aina liye chalte hain sheher ke log,

Aukaat jhalka dete hain,

Chhote ho tum, kya hain tumhaare paas?

Aankhon se batla dete hain,


Kuchh aadat lag hi rahi thi,

Sakht zameen pe abhi neend aayi hi thi,

Ki aankhein khul gayi,

Utha diya kisine kehke,

Yaha sona mana hain,

Utha turant khudko jhada aur kaha galti hogyi,


Yeh woh ladka hain jo ghar pe dabdaba rakhta tha,

Magar woh dabna seekh raha hain,

Sher aya hain pinjre mein rehne,

Abhi kartab seekh rhaa hain,

Master ne kaha kudo toh kudna,

Master ne kaha beitho toh beithna!


Samaj raha hain sheher ke niyam kanun,

Jo usse kam samajh aate hain?

Yaha log itna vyast kyun najar aate hain?

Dekhte hain sab kuchh, magar najardaaj kyun kar jaate hain?

Itni kya jaldi hain yeh sab kaha ko jaate hain?

Samajh raha hain,

Sheher mein hawa paani,

Ke elawa sab paise se aata hain,

Paise kamane nikla toh dekha,

Paisa toh hunar se ghar aata hain,

Aur hunar?

Bade se bade hunar liye saff mein khade hain,

Isko toh hunar bhi kam aata hain,


Humara hero samajh gaya, ki yaha mehnat bohut hain,

Ek nivalein ko bhi jang bohut hain,

Pet bharna hain toh sabse ladna padega,

Chhale pad gaye ya sansein ruk rahi hain,

Kisiko kya matlab?

Aise nahi, kuchh toh khaas karna padega,


Bhari duniya mein apna raastan banane nikal gaye,

Janaab yeh bhi hunar kamaane nikal gaye,

Gire thoda, thoda sambhale,

Kabhi pet bhara, Kabhi bhukhe rahe,

Ek kamra tha kabhi khudka,

Yaha 6 logo ke saath ek kamre mein rahe,


Par chalo koi na,

Ab din sudhar rahe hain,

Badi mehnat se kuchh hunar kamaya hain,

Ab log salaam namaste karne lage hain,

Batua bhi ab kuchh awaaj karta hain,

Log isse "Sahab" kehne lage hain,

Aur yeh sunke toh yeh chhati chaudi karke chalne lagta hain,


Thoda toh itraana baaki tha ki dekha,

Paise aaye hain toh nikalne ka bhi raastan saath laaye hain,

Ghar ki zaruraton ko hatake, kaha kuchh iske hisse bachta hain,

Magar aisa nahi ki gham hain,

Arre bhai, paise se muskaan khareed raha hain,

Yeh bhi kya kum hain?


Jindagi ki jato jahat mein samay badhiya nikal raha tha,

Kuchh kama rahe tha yeh, thoda kharch bhi ho raha tha,

Wajan bhar raha tha jeb ka, toh aur ki chahat ne atkaaye rakha,

Manjil paane nikla tha jo, usse musafir banaye rakha,


Ek shaam puchha kisine sheher kaise aana hua tha?


Yeh kya puchhliya?

Badhiyan chal raha tha sab,

Zaruratein puri thi saari ki kuchh kami khalne lagi,

Lagta hain kuchh tha jo adhura reh gaya?

Aisa kya tha jo kamana reh gaya?


Toh yaad aya ki ghar se nikle the,

Toh basta toh khaali tha,

Magar aankhon mein bade sapne liye the,

Sheher ki bheed mein mil gaye,

Sabke rang se hogaye,

Lekin hum toh zaruratein kaha? sapne pure karne nikle the,


Ab samajh aya ki yeh sheher pe sitaare kyun kam chamakte hain?

Yaha raatein kyun itni andheri hoti hain?


Chiraag jo ujaale laate hain,

Unse sheher ujaale cheen leta hain,

Har ek ko bheed sa kar deta hain!