Kal saara sheher kam padta tha,

Aaj ek kamre mein simat jata hun,

Kuchh yun chhupata hun khudko,

Na sunai deta hun, na najar aata hun,

Kho jaata hun kuchh yun,

Mein khudko bhi dhundhne se najar aata hun,


Bada sukoon hain kuchh na hone mein,

Bada sukoon hain khud ko khone mein,

Na kisi jang ka hissa hun mein,

Na kisi mohabbat ki kahani mein,

Na kisiki umeed hu, na kisika darr mein,

Ek duniya hain jismein sab rehte hain,

Ek duniya hain jismein rehta sirf mein,

Na haarne ka darr hain, na jeet ki chah rakhta hun,

Har ek saans gawahi hain iski, mein apne chahne waalo ka kitna lihaaj rakhta hun,


Baaki dekhne ka najariya hain janaab,

Ab jo zaruratein puri kar li meine, Zaruratein saari mitake,

Log kehte hain bhagwan ne diya bohut hain,