Mein yeh hun, mein woh hun,
Kya kya khudko samjha rakha hain,
Kahaniyon ka ek jaal bana rakha hain,
Bun rakhi hain qaid khudke liye meine,
Meine apne aasmaanon ko seemaon mein bandh rakha hain,
Aaj sach batata hun,
Mein raat ke andhere se darta bhi hun,
Magar har roj akele duniya se ladta bhi hun,
Mein sabse samajhdaar bhi hun,
Kabhi kabhi sabse murkh bhi hun,
Bohut kuchh bolta bhi hun,
Magar kabhi kabhi sabse maun bhi hun,
Mere aakar kayi hain, mein khud ko kya naam dun,
Meri apni pehchan ke liye lada bhi hun,
Magar mann karta hain sabkuchh hawa mein uchhal dun,
Hawa sa lun aakar, paani sa rang lu,
Koi puchhe mere baare,
Batau ki saare rang mere hain,
Saare aakar mere hain,
Khamiyan saari meri hain,
Khoobiyan bhi sab meri hain,
Mermein baste hain dukh saare,
Mein khushiyon ka aangan bhi hun,
Kehke yeh mein sabko uljhan mein daaldun,
Kya kahenge log mujhe pata nahi,
Magar unka kya kahu jinhone pehchan se khudko bandh rakha hain,
Chhadbar ka astitva hain,
Vyarth sab dil se laga rakha hain,
Inn hawao ka hona hain ek din,
Khud ko bojh banaye rakha hain,
Khud ko khoke dekhte hain jara,
Inn hawao ka hoke dekhte hain jara,
Jhuthi khudki pehchan kya liye beithe hain,
Aajad behke dekhte hain jara,
Kuchh banne ke liye ladde bohut hain,
Kuchh nahi hoke dekhte hain jara,
