Afsaane likhunga dard ke toh kaha sunenge,
Chalo muskuraate hain,
Khush najar aate hain,
Yaha kisiko kisise kya matlab,
Hum hi sabka haal puchh aate hain,
Theek hain bolte hain sab,
Mujhe pata chala hain sab kuchh na kuchh chhupaate hain,
Haal puchhne pe ghabraaye se najar aate hain,
Aadat nahi shayad haal batane ki,
Arson se shayad dard sirf chuupaaye hain,
Yeh woh chehre hain jo sirf muskuraate najar aaye hain,
Thoda chhup hua, toh pata chala,
Apne andar yeh cheekhein dabaye hain,
Thoda aur dhyan diya,
Toh mujhe siskiya sunaai di,
Apne ko sabne andar chhupa rakha hain,
Jo dusro ko bhaye waisa aakar bana rakha hain,
Kuchh toh hua hoga jo darr ne aise ghar kiya hain,
Khula aasmaan hote hue,
Pinjre ko ghar kiya hain,
Apne hi pankhon se najar churrate hain,
Gaur se dekho yeh sab mrat najar aate hain,
Magar inhe kisne mara?
Toh kuchh yun lagaam laga rakhi hain,
Sahi galat batane waalon ne saanson pe rok laga rakhi hain,
Girne se darte hain jo, udne ke nuskhe seekha rahe hain,
Khud nikle nahi ghar se jo, dusro ke ladkhadaane pe muskura rahe hain,
Kya hum kuchh kar skte hain?
Yuhi kab badlaav aasan hua hain,
Sangharsh karne waalon ke naam yeh jaam hua hain,
Samaaj badlane ki yeh shart hain,
Sabse pehle humme badalna hain,
Marz bada aasan hain,
Samay se thoda zyada saath beithna hain,
Kisiko vishwas dilana hain,
Kuchh bolne ki zarurat nahi, mein tere maun mein bhi saath hun,
Gira toh mein teri dhaal hun,
Tu kyun darta hain udaan bharne se dost, tu gira toh mein hun,
Sambhal lunga, haadse dard sangharsh akele nahi sehne dunga,
Tere har dard ka hissedaar hun,
Yun humdard kisika banna hain,
Har cheez ka hal nahi, bas saath mehsoos karna hain,
Kisike dard ko apne naam karna hain,
Insaan najar nahi aana sirf,
Hummein insaan banna hain,


