Sukoon ki talash mein raha mein,

Kuchh saansein dhundh raha tha,

Pareshaniyon mein kuchh yun uljha raha mein,

Har pal zindagi dhundh raha tha,


Samay achha tha toh pareshan hojata tha yuh hi,

Ab pareshan bhi hota hun toh beech beech mein muskura deta hun,


Achha samay mein aadmi hasta hain, yeh sach hain,

Lekin sach yeh bhi hain ki bure samay mein hasna seekhta hain,

Jab jo chahe woh hojaaye toh duniya khush hoti hain,

Jo muskura jaaye haar pe kala kaha sabmein hoti hain,

Yeh woh gud hain jo lambe samay ki haar se aata hain,

Yeh uss samay ki baat hain jab aadmi nirasha se bhi thak jata hain,

Thak jata hain achhe samay ke intejaar mein,

Jab Parivartan ko aatur hota hain,

Yeh tabh ki baat hain jab,

Aadmi jeena seekh raha hota hain,


Seekh raha hota hain ki paristhithiyan jo bhi ho,

Muskuraya toh jaa sakte hain,

Aage jab kuchh sahi na dikhe,

Kal ko bhulke bhi aaj mein jiya toh jaa sakta hain,

Jab ho haar ki gunj har jagah,

Jeet ka vishwas rakha toh jaa sakta hain,

Aur bura hoga toh kitna bura hoga,

Kya laaye the jo kuchh nuksaan hoga,

Mein dard mein seekha hun ki beshart bhi muskuraya toh jaa skta hain,


Jab intejaar ki ghadi lambi ho, tabhi toh dhairya aata hain,

Dard dekhe ho ghehre tabhi toh waqayi muskurana aata hain,


Mein dard mein rehke seekha hun isne mujhse sirf liya nahi,

Bohut kuchh diya hain,

Isse bas galti yeh hogyi,

Aitraya nahi kabhi na kabhi ghamand kiya,

Bas dete chale gaya aur na kabhi hisaab kiya,


Sach batata hun,

Asal sukoon paane ko,

Thoda sukoon ka khona bhi zaruri hain,

Zindagi hain toh thoda dard hona bhi zaruri hain,