Woh din bhi kya din the,
Kuchh toh baat thi unn dino mein,
Ab kya baat thi yeh toh batana mushkil hain,
Smjhana aur bhi mushkil hain,
Naap lu ek baar ko aasmaan,
Jajbaat batana lekin mushkil hain,
Koshish karte hain chalo,
Mein jo kahunga, tum bas usse mehsoos karte chalo,

***

Abhi office se ghar,
Aur ghar se office,
Iske beech din kat jata hain,
Kaam se nikalna hota hain ab,
Bemanjil safar pe ab kahan jana hota hain,
Yeh baatein puraani hain,
Tab safar ki khushi thi,
Saath the dost,
Aur har kadam pe hassi thi,

***

Tab khushi sirf saath ki thi
Jarurat kisiki bhi nahi
Ab sab hain paas mein
Par jarurat puri nahi

***

Bey maqsad ke rishte the pehle,
Nigaho mein logo ki,
Ab thoda sa matlab zyada hain,
Dekhi duniya toh laga,
Yaha dikhawa zyada hain,
Par theek hi hain,
Safar hain,
Jo mausam gaya hain woh phir aega,
Befikri bhi aegi aur woh pehle sa sukoon bhi aega,

***

Bahar aake daud ka pata laga,
Waha toh samay ruka sa tha,
Har din ka apna majja sa tha,
Jindagi se kuchh na chahiye tha,
Jaisa tha, sab badhiya tha,

***

Iss daud mein nikal gaye ab hum bhi,
Kaafi badal gaye ab hum bhi,
Ab toh har cheez apne hisaab se chahta hu,
Kyun har dam aukat apni bhul jata hun,
Ek saans se dusri saans tak ka safar tay kar na sakun,
Jindagi ka sara safar ichhah anusaran chahta hun,
Zarurate kam hain shayad, par bada dikhna chahta hun,
Log 4 hain ghar mein, kamre lekin 6 chahta hun,
Sabsa hogaya hun mein shayad, ab dusro ki najar se khudko bada dekhna chahta hun,