Apni auth mein sukoon ki bharmaar rakhta hain,

Asmaano mein woh har dard ka jawaab rakhta hain,


Hisaab nahi rakhta lene dene ka,

Ek dost hain jo aasmaano se mujhpe najar rakhta hain,


Ghav hain shareer pe uske bhi apaar,

Shayad isliye dard mein sabka khyal rakhta hain,


Jaanta hain ki akelapan bhi zaruri hain ghav bharne ko,

Isiliye thoda andhera banaye rakhta hain,


Uppar beitha woh har kahani ka hissa hain,

Kabhi chhupkar aur kabhi pratyaksh sabpe najar rakhta hain,


Dil tutta ho kisika ya dil jodna ho,

Woh sabka anubhav rakhta hain,


Isiliye toh,

Woh raaj ko raaj banaye rakhta hain,


Sheetalta ki chadhhar se dhakdeta hain sabko,

Yeh andhero mein ujaale barkarar rakhta hain,


Mein baat kar raha hun Chaand ki,

Sheetalta ka woh samundar jo aasmanon mein apni jagah rakhta hain,