Kyu ,nahi bol paya na use aaj bhi
Ab to rojana ki yahi hikayat hai
Kabhi manjuri to kabhi shikayat hai
Kabhi guftaar hai to kabhi hai pyaar
Kabhi hai haami to hai kabhi inkaar
Kabhi lagta hai ki vo nahi hai tere pas
To ek dafa hota hai uski qurbat ka ehsaas
Muskurahat ka mukhota laga ke aaya hai aaj bhi
Kyu ,nahi bol paya na use aaj bhi
Aaj kal , der raat tak jaagta hai
Kabhi khud ruthta hai to kabhi use manata hai
Kabhi latife sunake use hasata hai
To kabhi apna dard jata ke use rulata hai
Ha Par rulake use chup bhi khud hi karata hai
Apni ungliyo se uski hatheli ko dheere se sehlata hai
Apne dil ko bewakoof bana ke aaya hai aaj bhi
Kyu, nahi bol paya na use aaj bhi
