Musalsal naumidi ho to
Mandiro mei azano mei laut ke ana
Khuda jo chahiye tumko
Dharam ki dukano mein laut ke ana
Baccha jo mangle roti to
Unhi khadano mein laut ke aana
Savaal-e-jarah ho jab bhi
Upar vale ke bahano mei laut ke ana
Andhera chha gaya ho jo
Unhi kucho makano mei laut ke ana
Musalma gai chhune par
Jariih ke mehmano mei laut ke ana
Faragat chahiye ho 'miraz' to
Insaniyat ke khano mein laut ke ana

