Bezar is manzar mein gunje tanhai to kya naya
Apne dil ki baat thi unko na raas ayi to kya naya
Sabko mil hi jati to daulat kahan se kehlati
Mohabbat ko mili ek aur se ruswai to kya naya
Gham-e-yar ho ya ho shurb-e-mudaam
Tajassus se 'miraz' ne maut fir bulai to kya naya

