Abhi bhi jb gaon k ghar k bache ek kachhe kamre me sota hu
To vo bachpan wale sapne aate h
Vo purani si charpai jiske liye bachpan me bhaiya se lad jata tha.
Ab jab let ta hu to esa lagta h ki abhi amma ayengi aur bajre ki roti aur mirch ka achar khilayengi
Vo jab taro ko dekh kar sota tha to bhool he jata tha ki sar k neeche bistar he bhi ya nhe
Ab vo chat bhi h vo tare bhi h par es fan k bina neend nhe aati to vo taro ka charm chala gya h
Ab jo vo baccha tha jiska din ghar me kam aam aur jamni k ped pr gujar jata tha
Ab me bhool chuka hu ki vo ped kesa hota h
Ab me shayd bada ho chuka hu
Khusi me shayad wajeh dhoodhne laga hu
Pr yaad h mujhe us kachhe kamre ki thand
Vo garmiyo me khusi thi aur sardiyo me rajai ki wajeh
Vo khelne ki jageh bhi thi aur akele rone ki
Us bachpan me sab tha jo nhe tha vo samaj
Samaj ki ye dubara nhe milega to samet le sab
Me nashe me tha
Hosh me bhala kon etna pagal pan karta h