kaha hi tha "yaad aaunga"
kabhi tanhaiyon mein
kabhi ruswaiyon mein.

kabhi akele chalte hue jab kabhi koi haath thaamne wala nahi hoga tumhara,
ya kabhi mehfilon mein jab tumhe koi apna nazar nahi aayega,
ho sakta hai kabhi bewajah bhi "yaad" aa jau,
bhool nahi paaye na tum ab bhi wo shaam ya bhoola diye mere saare anjaam,
kisi ne bataya tumhara haal, bataya ye bhi ki tum bhool nahi paaye ho meri baaton ko meri aadaton ko,

kaha tha na "yaad aaunga"
kabhi tanhaiyon mein
kabhi ruswaiyon mein.