Tu janta hai..
ke jab mai hans deta hun
ke jab mai ro padta hun
ke jab mai khamosh rehta hun
Tu janta hai.
Tu janta hai
ke raaton ko jab sune raston pe chal deta hun
tanha akele
kuch armaan liye
kuch aansu liye
kuch tamanna kuch khwahishat liye
tu janta hai
Tu janta hai
ke kis tarah guzarti hai zindagi
ke kis tarah krni padti hain koshishein
lakh jatan
tu janta hai
Tu janta hai
ke kyon koi khwamakha
khyaalon me aa jata hai
aur kar jata hai raatein zaaya
tu janta hai
Tu janta hai
ke kis tarah sanbhalta hun khud ko
aur samet kar apne aap ko
aankhein band kar leta hun
Tu sab janta Hai.

