Hazaron khwahishon ke beech
Kahin kho gaya hun
Lakhon chehron ke beech
Kahin kho gaya hun
Main ek bashar jo Roz naye khwab dekhta hai..unhe mumkin karne ki koshishon me kahin kho gaya hun
Nazarein uthata hun raaton ko jab aasman ki taraf..main sochta hun
In taaron ke beech kahin kho gaya hun
Dhoondta hun apna wajood,
Main..apne khayalon ke beech
Kahin kho gaya hun
Mushkilon, majburiyon aur samjhouton
Ke beech..kahin kho gya hun
Sahi, ghalati aur ikhlaqi iqdad ke beech kahin kho gaya hun
Insaano ki banayi paabandiyon aur qaidon ke beech kahin kho gaya hun
Sawalon, ilzamat aur logon ki rai ke beech kahin kho gya hun
Rishton ko sambhalne ki koshishon aur sabki ummedo pe khara utarne ki jugat me kahin kho gaya hun
Main ek Namaaloom shakhs (an anonymous).. kahin kho gaya hun.

