Hazaron khwahishon ke beech
Kahin kho gaya hun.
Lakhon chehron ke beech
Kahin kho gaya hun.
Main ek bashar jo Roz naye khwab dekhta hai..unhe mumkin karne ki koshishon me kahin kho gaya hun.
Nazarein uthata hun raaton ko jab aasman ki taraf..main sochta hun
In taaron ke beech kahin kho gaya hun.
Dhoondta hun apna wajood,
Main..,apne khayalon ke beech
Kahin kho gaya hun.
Mushkilon, majburiyon aur samjhouton
Ke beech..kahin kho gya hun.
Sahi, ghalat aur ikhlaqi iqdad ke beech kahin kho gaya hun.
Insaano ki banayi paabandiyon aur qaidon ke beech kahin kho gaya hun.
Sawalon, ilzamat aur logon ki rai ke beech kahin kho gya hun.
Rishton ko sambhalne ki koshishon aur sabki ummedo pe khara utarne ki jugat me kahin kho gaya hun.
Main ek Namaaloom shakhs .. kahin kho gaya hun.