kya hum sab ko pehchante hain,kya har kisi ko jante hain.
Tum kaisa mehsoos karte ho hain pata hume , batlate hain
Chand sabdon se hum sabko yun he apnapan jata jaate hain
sayad galat nhi hain kehna,yahan har koi anjana hain
bhinn simaaon ko laang kar ,sabko kuch na kuch pana hain
ummido per he sahi , har sakash yahan hain ladd raha
apni astitvta ki chaap chhore, har mumkin koshish kar raha
jahan kan kan me josh bhara, koi kaise nalayak banaata hain
karte ho tum prem agar swet , divy aur mithras bhara
jeevan ko bas yehi laayak banaata hai
boodhe hone ki saubhaagy yahin ,
har anubhav yaaden banjati hain
vyakt karo befikari se,
jo baatien seene me aati hain
dil jo dhadke tez gati se
har shabd kahi, dil se dheeme ho jati hain


