Ye dil patthar ka hai janab... Ye pighalta nahin hai
Na logon ki ruswaiyon se na berukhi se
Na tanhaiyon se na begairati se
Na takalluf se na dard se
Ye aandhi aur toofanon se lad kar aaya hai
Ise khuda ne badi tarbiyat se banaya hai
Sab kuch sehta hai par kuch kehta nahin hai
Ye dil patthar ka hai janab... Ye pighalta nahin hai
Khamoshi mein iske bahot se raaz hai par koi jaanta nahin hai
Mohabbat bahot hai isme par dil abhi tak lagaya nahin hai
Ye waqt waqt par kamzor bhi padta hai par toot ta nahin hai
Ye shaan se jeeta hai par bikharta nahin hai
Ye dil patthar ka hai janab... Ye pighalta nahin hai


