Kyu haar maan jati hai ye khushi jab kisi aur ke chehre par uski pehchan nahi... kyu asmaan ki unchahyi manzil ban baiti jab tumhari udaan uski raah nahi... kyu kisi ki chahat ek zidd bann baiti jab wo shaks tumhare liye bana nahi... kyu kisi ke waqt ki gulami Kar baite jab usske milne ki koi wajah nahi... kyu kisi ke rehbar ban baite jab uski dehleez mai tumhara ghar nahi... kyu kisi ke wado par aetbaar Kar baite jab uske sach ki koi parchai nahi... kyu tufaano se ulaj baete jab tumhara koi sahil nahi... kyu ek gum ke sath jee baite jab uss dard ki koi dawa nahi... kyu bematlab ka muskura ute jab wo muskan mehfuz nahi... thodi si wafa khud se Kar lete, kyu apni taqdeer par tumhe yakin nahi... ek dua khuda se Kar lete kyunki apne bande se wo aaj bhi naraj nahi... kyunki apne bande se wo aaj bhi naraj nahi...