Vo bhi kya din tha ,
khwabo ka jese hakikat hona ho gaya ,
Jesi mohobbat mangi thi uska mukkamal hona ho gaya .
Hawao ka rukh he alg tha ,
Jis din tera mera milna mukkamal ho gaya .
Tumhara meri zindagi mein aana jese 1 nayi subah ka hona ho gaya ,
Anajana anjani se ,
Mere leye tum kaafi ho , ho gaya .
Yu hai ki zindagi toh phele bhi kat rhi thi ,
Yu hai ki zindagi toh phele bhi kat rhi thi
Par ab uska haseen hona ho gaya .
Teri maujudgi mein zindagi ka bahara hona ho gaya
Chand lambho ki vo pheli mulakat thi , Hum dono ki nazre thi jhuki hui ,
Tera mujhe dekhna jese meri adhuri zindagi ka pura hona ho gaya .
Ek pyaase ko jese nadi ka milna ho gaya.

