Har shaam ek Kasak ke sath Wo shaks mere pass ata h Jo pichli baar Andheri Raat me Khidkhi se khudkar Dave paoo Vilin ho Gaya tha Antaraatma ki gehraiyo me Chup chap wo mere pas aata h Aur Muje se puchta hai Wo Sawal jinke jawaab Wo khud hi batata hai Jo jawaab mere hote hai Unke wo Sawal chor jata hai... Aur phir Raat bhar Mai Taaleen rehta hu Apne hi sawalo ke jawaab me Kya sahi tha Kya galat hai Sab unjahlano me Aksar Mai usko Rok nahi pata.. Aur wo phir chala jata hai Har shaam ek Kasak ke sath...