Kya main tumko yaad aati thi? usne pucha.
aur, maine kaha...Haan.
Haan, aksar tu yaad aati thi, jab main kabhi kaam se juda hota tha,
haan, aksar tu yaad aati thi, us sab raaton main, jinme main na sota tha,
Haan, tu aksar yaad aati thi, jab main aankhein band karta tha,
Haan, tu aksar yaad aati thi, jab main tujhse na mil paane ke khyaalo se darta tha,
Tu aise hi aksar kisi na kisi baat par, mujhe yaad aati thi,
Tu aise hi mere jehan aur jeevan main gehri utarti jaati thi,
aur ye aksar bhi mere saath har pal saath nibhaata tha,
ye office ke raaste main aate-jaate teri yaadein lekar mere paas aata tha,
aur jab auto me tujhe yaad karke, main kabhi anyaas hi mukuraata tha,
ye mujhe kisi bevakoof ke jaise hone ka gumaan karaata tha,
teri vo saari yaadein, aksar mujhe phir se unhi lamho main jeene ko majboor kar deti hai,
ye aksar to ek zariya bhar hai, sach to hai tu kab mujhse door rehti hai,
Aankh band karu to tu saath hai mere,
jo aankhein kholu, to har chehre main hai tu,
Ab tu khud hi bata, jo hai har jagah, main usko yaad bhala kaise karu?
usne mujhko dekha, kuch aanu the jhaak rahe uski palko ki mundero se,
'sach, itna yaad main aati thi?'- vo bholi ruase gale se dheere se,
najaane kyu vo aansu beh nikle meri aakhon se, jo jhaankte the uski palko ki mundero se...
'Haan, tu sach main itni yaad aati thi' - main bhi bola dheere se...
- Saurabh
