Us roz kuch kahne ki tamanna thi, dil me rah gyi, Aaj fir ye savera kuch jana pahchana lagta hai...
sochte rahe kya kahe jo usko acha lage, Kya kare jb apna shahar anjana lagta hai...
siyasat nhi ye muhabbat hai, raasta nhi bach nikalne ka Yaha ek bala ko samajhne me sara zamaana lgta hai.
Teri koshish ne dil ka har ek panna yaad kraya tha, Najaane ek ek lafz kyun naya afsaana lagta hai..
Teri ada se har shaks is shahar ka vaakif sa kyun hai, Is shahr ki har gali me tera aana jaana lagta hai...
Soona sa raasta rookhe se log kis se kya shikayat karu, Manjil door ho bahut to har shaks shayrana lagta hai....
Darte rhe vo kahin aadat bigad na jaaye.. Hamse Door rhne ka hmse ye naya bahana lagta hai
Parvaah kare kaun, ye umar hi badmaash hai... Mukaddar se mili koi cheej bas ek nazrana lagta hai
Suna hai vo aj kareeb aane waale hai... Ye baat kahne wala har shaks diwaana lagta hai..
Aakhir iradha kya hai, kyu vo itna khoobsurat hai.. Ek nhi do nhi, hamko to sazish me saara zamaana lagta hai
Gulaab ki pankhudiyon se meri kuch baat hui, Suna hai usko ye shauk bachkaana lagta hai..
Kise khush akre kese khush rakhe samajh nhi aata Yahi mizaaz zindagi ka mujhe aashikana lagta hai.....


