Main sach kehta hoon, Dil apna dukha kar kuch nahi hoga
kisi ik shakhs ko duniya banaakar kuch nahi hoga
mashaal-e-ilm se raushan karo apne zameeron ko
sadak par kaaghazi putle jalakar kuch nahi hoga
chalo maana tumhe apne chaaraagon se shikaayat hai
magar yun gair ke jugnoo dabaa kar kuch nahi hoga
utho himmat karo, aur mushkilon ko paar kar jaao
khayaalon ke samandar mein naha kar kuch nahi hoga
agar sun'ne ki neeyat ho, to hain khamoshiyaan kafi
nahi to haal-e-dil apna sunaakar kuch nahi hoga
haqiqat ye hai ke imaan hi sacchi kamaayi hai
so khud ko bech kar paisa kamaa kar kuch nahi hoga