Abb matt kar intezaar, bass keh de apni baat.

Samay ka kuch pata nai, kal rahe na rahe tere sath.

Kuch na hone ka gham nai, hone ka kar dhanyavaad

Samay ka kuch pata nai, kal rahe na rahe tere sath.

Hui galati to karde maaf, ki galati to jodd le haath.

Samay ka kuch pata nai, kal rahe na rahe tere sath.

Jo karna hai aaj kar, na taal tu kal pe baat.

Samay ka kuch pata nai, kal rahe na rahe tere sath.

Liye aakhon me sapne hazaar, bass ab karde Tu shuruaat.