yeh na pucho ki saal kaisa raha..
yeh na pucho ki haal kaisa raha..
jaha se shuru kiya tha vahi hu main...
kuch apne choote the jaha vahi khadi hu main...
Kuch haadse bhi is darmiya hue...
par vo bhi kuch na kuch sikha kar gaye...
jisne jaana tha vo gaya...
Jisne chalna tha saath chal raha...
Par main kahi na ruki...
har kadam bss sukoon talashti rahi...
or haaa
abhi bhi yeh talaash jaari hein...
khud ko thoda or nikhaar lu main..
is saal bss yahi tyyari hein...