Maine kuch kaha tha
Chand ne bhi hami bhari thi
Ki iss poori duniya me
Sabse khoobsurat
Uss chand se bhi zyaada
Ek chehra hai

Jiss chehre ki muskaan
Jaadugari karti hai
Jiske samne
Har khushi choti hai

Uss chehre pe jab hassi aati hai
Sukoon sa milta hai
Uski hassi ke aage
Sab sapna sa lagta hai

Uss chehre pe jab
Kuch baal aake girte hai
Hothon se choo kr
Thoda tang unhe krte hai

Uss chehre pe jo
Aankhein hai
Palko se saji hui
Khushi bayan karti hai
Tasalli milti hai dill ko
Bs ye jaanke
Ki haan
Voh khush hai

Sapno me harr roz
Vhi ek chehra aata hai
Pehle yaad nhi rehte the sapne
Ab bhulae nhi jaate hai

Maine kuch kaha tha
Chand ne bhi hami bhari thi