Kehna bahut kuch chahte hai log
Bas keh nai paate
Ya shayad kehne ki himmat nahi juta paate
Gaano ke peeche panha dhundte hai ki Shayad shor main kahin gum ho jaye
Ya koi aur humari pukaar ban jae
Awaz ho kisi aur ki par shabd humare ban jae
Dil ki baat Dil Tak hi reh jaaye
Phir bhi nikal jaaye.....
-Richa Mohta

