KYUN MAA?
Kyun maa , kyun, aj baat mere samman ki hai toh sb chup kyun hain,
Kyun kisi ne awaz na uthayi,
Mere shareer ke har ang ko chot pohchayi,
Kyun maa, akhir kyun, bhagwan ne meri izzat na bachayi,
Bhai hain sb ye baat duniya ne sikhayi,
Chacha hain wo pados wale log izzat se baat kr ye tune hi sikhlayi,
Maa dekh toh aj unhi ke hanthon meri abroo ki shaamat aayi,
Kyun maa , kyun , tu ye kyun na smjh payi,
Mere jaan pehchan ke logon ne hi dekh meri izzat ki bali chadhayi,
Royi bohot main maa , main bohot chillayi,
Tere khuda ke bhi samne bohot guhaar lagayi,
Kyun na kaanpi maa unki rooh jinhone mardangi ke naam par aisi haiwaniyat kr dikhayi,
Naa seh paayi teri bahadur beti maa ye chot,
Leni padegi maa ab teri anchal se vidai,
Aj kahungi sbse wo baat jo maine thi suni pr kbhi na smjh payi,
Yahan mard hi nahi namard bhi hain ,
Jinhone meri hi nahi,
Mere hi jaisi na jane kitni betiyon ki izzat,
Badan mein lagi hawas ki aag se bujhayi..
Razia_The_Writer_
