Manna ki who mohobbat bs ek pal ki hi thi Kyonki who mohobbat jhooti thi Tabhi toh woh mohobat chooti thi Mohobbat ka fitoor kuch yuh chdha ki Mohobbat mai waqt ka maloom hi nhi chla Ab haalaat yeh h janab, Ki waqt humey kaat rha h Ya hum waqt ko maloom hi nhi hota Waqt waqt ki baat h janab Har pal waqt kuch kehta h!! Maana……Maana ki woh mohobat jhooti thi Par pta nhi  kyon bajaye sachi mohobat ko talashne ke Dil ki kushi toh uss jhooti mohobat ko mehfooz rkhne mai thi Har pal dil kuch kehta h!! Waqt ka haseen simat toh dekhiye janab itni berukhi se aapna rukh mod lia aur khabar bhi nhi lgne di Yuh toh waqt hmare darmiyaan hi tha Humney kabhi waqt ko waqt nhi dia Aur ab waqt humey kabhi waqt nhi deta Pal mai hi mohobat ayee Pal mai hi mohobat chali bhi gyi Har pal waqt badal ta h!! Kehte h waqt aur qismat pr kisi ka bss nhi chlta, Log aksar bhool jate h ki, Dil ke mamle mai bhi kisi ka bss nhi chlta, Har pal qismat badalne ki takat rkhta h!! Yuh toh har pal kuch kehta h, Har pal dil kuch kehta h, Har pal waqt badal ta h, Har pal qismat badlne ki takat rkhta h, Toh har pal ko khoob jiyo, Kyonki pta nhi konsa pal tumhara aakhir pal ho, Har pal kuch kehta h!!