Ye desh hamari jaan hai, ye desh hamari shaan hai;
Hamari khoon ka ek ek katra is desh pe kurban hai.
Ye ganga ka shital jal hai, ye maa ka pyara anchal hai;
Ye himalaya pita saman hai, khada ye sina taan hai.
Ye vir sainik hamare bhai hai, ye khade hai age jab koi musibat aayi hai;
Yaha pyar ka mousham hai, yaha sab dharmo ka sangam hai.
Yaha nadiyan hai, jungle hai charo or hariyali hai;
Yaha pahad hai, samundar hai, yaha ki har ek baat nirali hai.
Is desh ki shakti nari hai, ab virangnao ki bari hai;
Is desh me laxmi bai hai, jisne angrezo ki lanka lagayi hai.
Ye desh duniya ka taaz hai, Ye har bhartiya ka naaz hai;
Ye desh hamari jaan hai, ye desh hamari shaan hai. ❤️
Jai Hind
Written by Ravi
Please like


