Mera Sansar Meri Maa's image

Maa ek sabd nhii ek ichha hai,

Ye sabd hamare jivan ki pehli sichha hai;

Jaise kisaan fasal ugata hai,

Wese hi maa ne hame apne khun se sincha hai.


Apna niwala chhod kr wo pehle hame khilati hai,

Kabhi daant deti hai to kabhi pyar jatati hai;

Paiso ka hisab to bilkul sahi karti hai, magar rotiyon ka hisab bhul jati hai, ek mangu to do de jati hai,

Aise hi nhii maa bhagwan kehlati hai.


Maa ki mamta ke aage duniya ki sari daulat bekar hai,

Maa ke bina sunsan ye sansar hai;

Maa ke bina log bikhar jate hai,

Jisne sabko ek parivar banay

Tag: loveyoumaa और1 अन्य
Read More! Earn More! Learn More!