Main majdur hu, main majbur hu,
Main ghar se bahot dur hu;
Maine desh ko banaya tha, desh ko sajaya tha,Desh ko bananae me jaan tak gawaya tha.
Mujhko saher ne bulaya tha, khana v khilaya tha;Aaj bhid me viran hu, saher me paresan hu.
Aaj khane ki duhai hai, jaan pe ban aayi;
Jab chhod diya saher ne, fir gaon ki yadd ayi hai.
Naa gadi hai, na koi sahara hai;
Kaise kahe, mahan desh hamara hai.
Na paisa hai, na khana hai;
Bas wapas ghar ko jana hai,
Isme v kathinayi hai, police ki pitayi hai.
Netaon ki rajniti hai, hm pe aaj jo biti hai;
Usko na bhulayenge, wapas saher na aayenge.
Gaon ko basayenge, issi ko sajayenge;
Chhota hi sahi magar ab ghar yhii basayenge.
Main majbur hu, main majdur hu,
Main ghar se bahot dur hu.
Written by Ravi ❤️
Please like


