Bhole Shankar ki Jogan main ban jaungi
Shiv ke Charno me main bhi sanvar jaungi
Jis tarah Meera ne Chaha hai Shyam ko
Waise Shambhoo ki Jogan main kehlaungi..
Shiv se mera hai janmo ka naata koi
Meri Mata wahi aur vidhata wahi
Humko manjoor hai unki sab marjiyan
Jindagi hain wahi bandagi hain wahi....
Written by Kavita Tiwari