Hai zindagi Gulzar si magar har baat mein tu aata hai
Na koi arazoo na rabta mere saaye mein nazar tu aata hai
Waqt ko peeche dekhun toh tute wadon mein nazar aata hai
Meri likhi kahaniyon ke panno par pani kyu nazar aata hai
Guzari shamein jis sheher mei wo thehra sa nazar aata hai
Mire palkon ke shamiyano mein kohra sa nazar aata hai
Mai kuch kam sa hoon tere aage tu toh pura sa nazar aata
Khabar teri aati hai magar ab nazar-andaaz karna aata hai
- Rajat
