Barson beet gye par masle hal na hue,

Hum kuch iss kadar zindagi se guzarte gye,

Saansein aati rhi dil dhadakta rha,

Sawalon ke jabab mein sawal hi mile,

Hum puchhne jis kisi se bhi gye,

Din dhala shaam ke baad fir subah bhi hui,

Par hum andheron mein umra bhar bhatakte rhe,

Ab ye aalam hai ke na koi sawaal na aarjo na koi justzu,

Jis se bhi mile sabne kha ye laash bekafan kyo rhe,

Kuch iss kadar hum zindagi se guzarte gye